Ek waqt aisa ayega,
Saari khwahishein tumhari sach hogi,
har dua qabool hogi,
Par fir bhi ek afsos hoga,
aankhon mein aasun zaroor hoga,
Itmam sirf ek afsana hai,
yeh dil tumhara diiwana hai,
Lagam isko lagti nahi, batakar yeh bhagta nahi,
Tum yuhi muskuraoge,
aur tabahi machti jayegi,
Haste jhoolte gaoge, aur chot lagti jayegi,
Dard meetha lagega, bechaini nashili lagegi,
Ek waqt aisa ayega, tumhe khwaab dikhayega,
Tum pankh jaise hi lagaoge,
muh ke bal gir jaoge,
Haqiqat ka khauf hi aisa hai,
ek tanha pal jaisa hai,
Khwaabo ka bhoot fir chod jayega,
saans bhi dard pochayega,
Uthne ki taaqat nahi rahegi,
uthne ka maan bhi nahi rahega,
Phir ek waqt ayega, ek naya khwaab dikhayega.


itmam- perfection
afsana- myth
diiwana- crazy

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *